mohabbat kis se kab ho jae andaza nahin hota
mohabbat kis se kab ho jaa.e andāza nahīñ hotā
ye vo ghar hai ki jis kā koī darvāza nahīñ hotā
diloñ ko dard kī tahzīb se ābād rakhtī hai
mohabbat meñ kisī ko koī ḳhamyāza nahīñ hotā
kahīñ koī na koī ik kamī baaqī hī rahtī hai
mukammal zindagī kā koī shīrāza nahīñ hotā
ajab begāngī-o-nā-shanāsā.ī kā aalam hai
tirī galiyoñ meñ bhī ab mujh pe āvāza nahīñ hotā
hamesha hī yahāñ ik ābshār-e-dard bahtā hai
ki dil kī mumlikat meñ koī ġham taaza nahīñ hotā
kisī mahbūb lamhe meñ kisī vīrān raste par
koī kab yaad aa jaa.e ye andāza nahīñ hotā
bahut kuchh dil meñ hotā hai magar 'ashfāq' chehre par
kisī kī yaad kā bikhrā huā ġhāza nahīñ hotā
mohabbat kis se kab ho jae andaza nahin hota
ye wo ghar hai ki jis ka koi darwaza nahin hota
dilon ko dard ki tahzib se aabaad rakhti hai
mohabbat mein kisi ko koi KHamyaza nahin hota
kahin koi na koi ek kami baqi hi rahti hai
mukammal zindagi ka koi shiraaza nahin hota
ajab begangi-o-na-shanasai ka aalam hai
teri galiyon mein bhi ab mujh pe aawaza nahin hota
hamesha hi yahan ek aabshaar-e-dard bahta hai
ki dil ki mumlikat mein koi gham taza nahin hota
kisi mahbub lamhe mein kisi viran raste par
koi kab yaad aa jae ye andaza nahin hota
bahut kuchh dil mein hota hai magar 'ashfaq' chehre par
kisi ki yaad ka bikhra hua ghaza nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.