mohabbat ko hamesha se sharik-e-kar dekha hai
mohabbat ko hamesha se sharīk-e-kār dekhā hai
adāvat se har ik rishta yahāñ dushvār dekhā hai
yahāñ aapas meñ ham-āhañg honā hai bahut mushkil
kabhī muflis bhī dekhā hai kabhī zardār dekhā hai
uchhālī jā rahī haiñ pagḌiyāñ ilzām hai sar par
nahīñ gardan pe sar jis ke vahī sardār dekhā hai
masā.il dūsroñ ke hal jo karte haiñ haqīqat hai
unhīñ ke ghar meñ uThte biich meñ dīvār dekhā hai
ajab hai haal ab kis par bharosa ham kareñ 'anjum'
yahāñ par lūTne vāloñ ko pahre-dār dekhā hai
mohabbat ko hamesha se sharik-e-kar dekha hai
adawat se har ek rishta yahan dushwar dekha hai
yahan aapas mein ham-ahang hona hai bahut mushkil
kabhi muflis bhi dekha hai kabhi zardar dekha hai
uchhaali ja rahi hain pagDiyan ilzam hai sar par
nahin gardan pe sar jis ke wahi sardar dekha hai
masail dusron ke hal jo karte hain haqiqat hai
unhin ke ghar mein uThte bich mein diwar dekha hai
ajab hai haal ab kis par bharosa hum karen 'anjum'
yahan par luTne walon ko pahre-dar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.