mohabbat ko jo zahir kar rahi hai
mohabbat ko jo zāhir kar rahī hai
mire chehre pe vo tahrīr bhī hai
huiiñ sadiyāñ nazar ke zalzaloñ ko
abhī tak shahr kī hālat vahī hai
ujāgar jab bhī us ke ġham hue haiñ
na.e ruḳh se ġhazal maiñ ne kahī hai
agar gahrā nahīñ hai zaḳhm-e-ehsās
hamāre sochne meñ kuchh kamī hai
havā-e-zulm ke jhoñke idhar bhī
mire dil meñ bhī shauq-e-āgahī hai
tire anjān bhī tere shanāsā
hamārā āshnā bhī ajnabī hai
maiñ tere zulm kā radd-e-amal huuñ
mirā paiġhām sulh-o-āshtī hai
kahāvat ban chukī hai jis kī vahshat
'nazar' hī ek aisā aadmī hai
mohabbat ko jo zahir kar rahi hai
mere chehre pe wo tahrir bhi hai
huin sadiyan nazar ke zalzalon ko
abhi tak shahr ki haalat wahi hai
ujagar jab bhi us ke gham hue hain
nae ruKH se ghazal main ne kahi hai
agar gahra nahin hai zaKHm-e-ehsas
hamare sochne mein kuchh kami hai
hawa-e-zulm ke jhonke idhar bhi
mere dil mein bhi shauq-e-agahi hai
tere anjaan bhi tere shanasa
hamara aashna bhi ajnabi hai
main tere zulm ka radd-e-amal hun
mera paigham sulh-o-ashti hai
kahawat ban chuki hai jis ki wahshat
'nazar' hi ek aisa aadmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.