mohabbat ko parai kar rahi ho
mohabbat ko parā.ī kar rahī ho
sunā hai tum sagā.ī kar rahī ho
yahāñ bas zindagī ik tīrgī hai
vahāñ tum muñh-dikhā.ī kar rahī ho
qafas māyūs ho kar ro rahā hai
parinde kī rihā.ī kar rahī ho
ġham-e-duniyā se aage kuchh nahīñ hai
jahāñ tum āshnā.ī kar rahī ho
mohabbat ko parai kar rahi ho
suna hai tum sagai kar rahi ho
yahan bas zindagi ek tirgi hai
wahan tum munh-dikhai kar rahi ho
qafas mayus ho kar ro raha hai
parinde ki rihai kar rahi ho
gham-e-duniya se aage kuchh nahin hai
jahan tum aashnai kar rahi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.