mohabbat ko pazirai mili hai
mohabbat ko pazīrā.ī milī hai
tumhāre dar se rusvā.ī milī hai
bahār-e-lāla-o-gul ko chaman meñ
tire aariz se ra.anā.ī milī hai
huā vo ḳhud se begāna jahāñ meñ
jise terī shanāsā.ī milī hai
junūñ ke faiz se pā-e-talab ko
matā.a-e-ābla-pā.ī milī hai
tirī mahfil meñ zabt-e-dil ke sadqe
ḳhamoshī ko bhī goyā.ī milī hai
tirī āñkhoñ meñ ham Duube to dil ko
samundar kī sī gahrā.ī milī hai
hue ābād ham barbād ho kar
basārat kho ke bīnā.ī milī hai
hameñ zinda kiyā murda-dilī ne
tujhe shān-e-masīhā.ī milī hai
vahī hai mahram-e-asrār jis ko
junūñ ke dar se dānā.ī milī hai
'tufail' us shahr-yār-e-shahr-e-gul se
nigār-e-gul ko zebā.ī milī hai
mohabbat ko pazirai mili hai
tumhaare dar se ruswai mili hai
bahaar-e-lala-o-gul ko chaman mein
tere aariz se ranai mili hai
hua wo KHud se begana jahan mein
jise teri shanasai mili hai
junun ke faiz se pa-e-talab ko
mataa-e-abla-pai mili hai
teri mahfil mein zabt-e-dil ke sadqe
KHamoshi ko bhi goyai mili hai
teri aankhon mein hum Dube to dil ko
samundar ki si gahrai mili hai
hue aabaad hum barbaad ho kar
basarat kho ke binai mili hai
hamein zinda kiya murda-dili ne
tujhe shan-e-masihai mili hai
wahi hai mahram-e-asrar jis ko
junun ke dar se danai mili hai
'tufail' us shahr-yar-e-shahr-e-gul se
nigar-e-gul ko zebai mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.