mohabbat ko riya ki qaid se aazad karna hai
mohabbat ko riyā kī qaid se āzād karnā hai
hameñ phir ārzūoñ kā nagar ābād karnā hai
shikast-e-fāsh denī hai man-o-tū ke ravayyoñ ko
marāsim kī bahālī kā hunar ījād karnā hai
ye kyā jabr-e-ta.alluq hai ki phir tere havāle se
kisī ko bhuul jaanā hai kisī ko yaad rakhnā hai
guzishta 'ahd meñ bhī jurm thā ye kār-e-haq-goī
hamārī nasl ko bhī ye ba-sad uftād karnā hai
ka.ī dīgar havāle bhī surūr-o-rāhat-e-dil haiñ
ga.e mausam kī nisbat se tumheñ bhī yaad karnā hai
hamāre she'r agar jazboñ ko ḳhushbū de nahīñ sakte
to phir to she'r kahnā vaqt ko barbād karnā hai
mohabbat ko riya ki qaid se aazad karna hai
hamein phir aarzuon ka nagar aabaad karna hai
shikast-e-fash deni hai man-o-tu ke rawayyon ko
marasim ki bahaali ka hunar ijad karna hai
ye kya jabr-e-talluq hai ki phir tere hawale se
kisi ko bhul jaana hai kisi ko yaad rakhna hai
guzishta 'ahd mein bhi jurm tha ye kar-e-haq-goi
hamari nasl ko bhi ye ba-sad uftad karna hai
kai digar hawale bhi surur-o-rahat-e-dil hain
gae mausam ki nisbat se tumhein bhi yaad karna hai
hamare she'r agar jazbon ko KHushbu de nahin sakte
to phir to she'r kahna waqt ko barbaad karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.