mohabbat mawara-e-kufr-o-din hai
Interesting Fact
(December 30, 1963) (Tamir-e-Urdu)
mohabbat māvarā-e-kufr-o-dīñ hai
mohabbat kā koī maz.hab nahīñ hai
mohabbat husn hai husn-āfrīñ hai
mohabbat husn se baḌh kar hasīñ hai
badal is kā zamāne meñ nahīñ hai
baḌī daulat mirā husn-e-yaqīñ hai
tasavvur meñ vo zulf-e-ambarīñ hai
nazar meñ ab na duniyā hai na diiñ hai
mujhe is qaul par apne yaqīñ hai
na ho jis se ḳhayānat vo amiiñ hai
ba-zāhir ḳhaak kā putlā hai sab kuchh
jo dekho ġhaur se kuchh bhī nahīñ hai
mohabbat jis ko kahtā hai zamāna
yahī vo zahr hai jo ābgīñ hai
sañbhalnā ai dil-e-nādāñ sañbhalnā
baḌī qātil nigāh-e-avvalīñ hai
mukāfāt-e-amal hai bazm-e-hastī
yahīñ dozaḳh yahīñ ḳhuld-e-barīñ hai
haqīqat husn kī kuchh hai to itnī
jo chaḌh jaa.e nazar meñ vo hasīñ hai
mohabbat kā nahīñ hai koī ḳhāliq
mohabbat ḳhud mohabbat-āfrīñ hai
bharosa kyā kare koī kisī par
jo apnā hai vahī apnā nahīñ hai
kahā jaatā hai ye 'tālib' se aksar
suḳhan terā nihāyat dil-nashīñ hai
mohabbat mawara-e-kufr-o-din hai
mohabbat ka koi mazhab nahin hai
mohabbat husn hai husn-afrin hai
mohabbat husn se baDh kar hasin hai
badal is ka zamane mein nahin hai
baDi daulat mera husn-e-yaqin hai
tasawwur mein wo zulf-e-ambarin hai
nazar mein ab na duniya hai na din hai
mujhe is qaul par apne yaqin hai
na ho jis se KHayanat wo amin hai
ba-zahir KHak ka putla hai sab kuchh
jo dekho ghaur se kuchh bhi nahin hai
mohabbat jis ko kahta hai zamana
yahi wo zahr hai jo aabgin hai
sanbhalna ai dil-e-nadan sanbhalna
baDi qatil nigah-e-awwalin hai
mukafat-e-amal hai bazm-e-hasti
yahin dozaKH yahin KHuld-e-barin hai
haqiqat husn ki kuchh hai to itni
jo chaDh jae nazar mein wo hasin hai
mohabbat ka nahin hai koi KHaliq
mohabbat KHud mohabbat-afrin hai
bharosa kya kare koi kisi par
jo apna hai wahi apna nahin hai
kaha jata hai ye 'talib' se aksar
suKHan tera nihayat dil-nashin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.