mohabbat mein baDa chhoTa nahin hai
mohabbat meñ baḌā chhoTā nahīñ hai
magar aisā kabhī hotā nahīñ hai
abhī kaise kaheñ ham baat dil kī
abhī to naam bhī pūchhā nahīñ hai
na jaane kab bahā le jaa.e aañsū
kisī ke bas meñ ye dariyā nahīñ hai
abhī āsān hai mujh ko Dubonā
yaqīñ kā pul abhī TuuTā nahīñ hai
shajar saare barahna-jism kyuuñ haiñ
abhī mausam to patjhaḌ kā nahīñ hai
tumhāre haath bhī haiñ aaj ḳhālī
hamāre paas bhī kaasa nahīñ hai
tumhāre shahr meñ maiñ ajnabī huuñ
yahāñ mujh ko koī ḳhatra nahīñ hai
maiñ kartā rahtā huuñ ḳhidmat adab kī
ye merā shauq hai pesha nahīñ hai
mohabbat mein baDa chhoTa nahin hai
magar aisa kabhi hota nahin hai
abhi kaise kahen hum baat dil ki
abhi to nam bhi puchha nahin hai
na jaane kab baha le jae aansu
kisi ke bas mein ye dariya nahin hai
abhi aasan hai mujh ko Dubona
yaqin ka pul abhi TuTa nahin hai
shajar sare barahna-jism kyun hain
abhi mausam to patjhaD ka nahin hai
tumhaare hath bhi hain aaj KHali
hamare pas bhi kasa nahin hai
tumhaare shahr mein main ajnabi hun
yahan mujh ko koi KHatra nahin hai
main karta rahta hun KHidmat adab ki
ye mera shauq hai pesha nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.