mohabbat mein bhi nafrat aa gai thi
mohabbat meñ bhī nafrat aa ga.ī thī
mohabbat thī nahīñ ye dil-lagī thī
huā thā ishq us ko bhī kisī se
zabāñ ḳhāmosh sūrat boltī thī
talab furqat kī baḌhtī jā rahī hai
tire ġham kī ajab sī raushnī thī
mirā maazī thā achchhā yā nahīñ thā
ye sab kī sab ināyat aap kī thī
tazabzub kī fazā meñ khap gayā huuñ
purānā ghar thā lekin rah na.ī thī
usī ke haath meñ chāroñ the ikke
ye baazī zindagī kī āḳhirī thī
uThā kar ghūmtā thā bojh apnā
mayassar kyoñ vafā meñ bebasī thī
kiyā inkār us ne faisle se
mohabbat us kī 'nāsir' sarsarī thī
mohabbat mein bhi nafrat aa gai thi
mohabbat thi nahin ye dil-lagi thi
hua tha ishq us ko bhi kisi se
zaban KHamosh surat bolti thi
talab furqat ki baDhti ja rahi hai
tere gham ki ajab si raushni thi
mera mazi tha achchha ya nahin tha
ye sab ki sab inayat aap ki thi
tazabzub ki faza mein khap gaya hun
purana ghar tha lekin rah nai thi
usi ke hath mein chaaron the ikke
ye bazi zindagi ki aaKHiri thi
uTha kar ghumta tha bojh apna
mayassar kyon wafa mein bebasi thi
kiya inkar us ne faisle se
mohabbat us ki 'nasir' sarsari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.