mohabbat mein dhoke se mara gaya hai
mohabbat meñ dhoke se maarā gayā hai
mujhe āsmāñ se utārā gayā hai
maiñ shahbāz huuñ ishq kī vādiyoñ kā
jahāñ mere aage pasārā gayā hai
ḳhudā kī qasam kuchh bachā hī nahīñ hai
kise kis tarah jaane haarā gayā hai
zarūrī nahīñ hai mirā Duub jaanā
abhī haath se bas kinārā gayā hai
gunāhoñ kā ambār thā mere sar pe
jahannum se mujh ko guzārā gayā hai
duāoñ meñ ab bhī use māñgtā huuñ
kahāñ dil se 'rāmiz' ḳhasārā gayā hai
mohabbat mein dhoke se mara gaya hai
mujhe aasman se utara gaya hai
main shahbaz hun ishq ki wadiyon ka
jahan mere aage pasara gaya hai
KHuda ki qasam kuchh bacha hi nahin hai
kise kis tarah jaane haara gaya hai
zaruri nahin hai mera Dub jaana
abhi hath se bas kinara gaya hai
gunahon ka ambar tha mere sar pe
jahannum se mujh ko guzara gaya hai
duaon mein ab bhi use mangta hun
kahan dil se 'ramiz' KHasara gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.