mohabbat mein dilon ka aazmana saKHt mushkil hai
mohabbat meñ diloñ kā āzmānā saḳht mushkil hai
rah-e-'ushshāq par ḳhud ko chalānā saḳht mushkil hai
bhulā duuñ maiñ tumheñ kaise bhulānā saḳht mushkil hai
tumhārī yaad ko dil se miTānā saḳht mushkil hai
zamīn-e-'ishq par hai ek hī mausam ḳhizāñ jaisā
yahāñ par gul umīdoñ ke khilānā saḳht mushkil hai
sulagte haiñ dil-e-‘ushshāq rātoñ meñ zamistāñ kī
ab in sho'loñ ko ashkoñ se bujhānā saḳht mushkil hai
rukī jaatī haiñ sāñseñ dil thamā jaatā hai siine meñ
ki āñkhoñ se lahū dil kā bahānā saḳht mushkil hai
hujūm-e-sarfaroshāñ dekh kar hairān haiñ 'jā'far'
jo kahte the ki logoñ ko jagānā saḳht mushkil hai
taġhayyur ko baqā honā bhī ik maz.har hai fitrat kā
ḳhizāñ-dīda chaman se dil lagānā saḳht mushkil hai
tasādum dekh kar afkār-e-nau kā jahl-e-daurāñ se
suḳhan raushan-ḳhayālī kā sunānā saḳht mushkil hai
mohabbat kī tamāzat se ḳhizāñ-manzar jo āñkheñ hoñ
vahāñ duniyā ḳhayāloñ kī basānā saḳht mushkil hai
adab ke baab meñ jo vaqt hai thoḌā sā dāman meñ
inhī lamhoñ se kuchh lamhe churānā saḳht mushkil hai
sitamgar bād-e-sarsar ke liye har daur meñ 'jā'far'
charāġh-e-dānish-e-daurāñ bujhānā saḳht mushkil hai
mohabbat mein dilon ka aazmana saKHt mushkil hai
rah-e-'ushshaq par KHud ko chalana saKHt mushkil hai
bhula dun main tumhein kaise bhulana saKHt mushkil hai
tumhaari yaad ko dil se miTana saKHt mushkil hai
zamin-e-'ishq par hai ek hi mausam KHizan jaisa
yahan par gul umidon ke khilana saKHt mushkil hai
sulagte hain dil-e-‘ushshaq raaton mein zamistan ki
ab in sho'lon ko ashkon se bujhana saKHt mushkil hai
ruki jati hain sansen dil thama jata hai sine mein
ki aankhon se lahu dil ka bahana saKHt mushkil hai
hujum-e-sarfaroshan dekh kar hairan hain 'ja'far'
jo kahte the ki logon ko jagana saKHt mushkil hai
taghayyur ko baqa hona bhi ek mazhar hai fitrat ka
KHizan-dida chaman se dil lagana saKHt mushkil hai
tasadum dekh kar afkar-e-nau ka jahl-e-dauran se
suKHan raushan-KHayali ka sunana saKHt mushkil hai
mohabbat ki tamazat se KHizan-manzar jo aankhen hon
wahan duniya KHayalon ki basana saKHt mushkil hai
adab ke bab mein jo waqt hai thoDa sa daman mein
inhi lamhon se kuchh lamhe churana saKHt mushkil hai
sitamgar baad-e-sarsar ke liye har daur mein 'ja'far'
charagh-e-danish-e-dauran bujhana saKHt mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.