mohabbat mein ilzam kya dekhta hai
mohabbat meñ ilzām kyā dekhtā hai
ye āġhāz-o-anjām kyā dekhtā hai
yahāñ rahguzar ke sivā kuchh nahīñ hai
ye muḌ muḌ ke har-gām kyā dekhtā hai
abhī to bahut duur chalnā hai tujh ko
ghaḌī bhar kā ārām kyā dekhtā hai
shikam kī asīrī se āzād ho jā
ye daana tah-e-dām kyā dekhtā hai
adab sāqiyā kā kahāñ tak karegā
uThā le koī jaam kyā dekhtā hai
jahāñ meñ baḌī chiiz hai dil kī mastī
chhalaktā huā jaam kyā dekhtā hai
tasavvur meñ 'tābāñ' ye khoyā huā sā
ufuq par sar-e-shām kyā dekhtā hai
mohabbat mein ilzam kya dekhta hai
ye aaghaz-o-anjam kya dekhta hai
yahan rahguzar ke siwa kuchh nahin hai
ye muD muD ke har-gam kya dekhta hai
abhi to bahut dur chalna hai tujh ko
ghaDi bhar ka aaram kya dekhta hai
shikam ki asiri se aazad ho ja
ye dana tah-e-dam kya dekhta hai
adab saqiya ka kahan tak karega
uTha le koi jam kya dekhta hai
jahan mein baDi chiz hai dil ki masti
chhalakta hua jam kya dekhta hai
tasawwur mein 'taban' ye khoya hua sa
ufuq par sar-e-sham kya dekhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.