mohabbat mein kahan aasudgi mahsus hoti hai
mohabbat meñ kahāñ āsūdgī mahsūs hotī hai
ye vo mai hai ki pī kar tishnagī mahsūs hotī hai
bhaḌak uThte haiñ sho.ale sozish-e-paiham se siine meñ
kahīñ phir jā ke āñkhoñ meñ namī mahsūs hotī hai
na hoñ jab tak farozāñ sham.eñ ashkoñ kī sar-e-mizhgāñ
kahāñ ai dost dil meñ raushnī mahsūs hotī hai
tabī.at ḳhūgar-e-rañj-o-alam hai is qadar 'at.har'
ki ab apnī hañsī bhī ajnabī mahsūs hotī hai
mohabbat mein kahan aasudgi mahsus hoti hai
ye wo mai hai ki pi kar tishnagi mahsus hoti hai
bhaDak uThte hain shoale sozish-e-paiham se sine mein
kahin phir ja ke aankhon mein nami mahsus hoti hai
na hon jab tak farozan shamen ashkon ki sar-e-mizhgan
kahan ai dost dil mein raushni mahsus hoti hai
tabiat KHugar-e-ranj-o-alam hai is qadar 'athar'
ki ab apni hansi bhi ajnabi mahsus hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.