mohabbat mein kami si rah gai hai
mohabbat meñ kamī sī rah ga.ī hai
ki bas ik bebasī sī rah ga.ī hai
na jaane kyuuñ hamāre darmiyāñ ab
faqat ik barhamī sī rah ga.ī hai
ajab ye sāneha guzrā hai ham par
tire ġham kī ḳhushī sī rah ga.ī hai
samundar kitne āñkhoñ meñ utāre
to phir kyuuñ tishnagī sī rah ga.ī hai
nahīñ chaḌhtā hai ab yādoñ kā dariyā
magar ik bekalī sī rah ga.ī hai
ḳhalish dil meñ koī baaqī hai ab tak
ki āñkhoñ meñ namī sī rah ga.ī hai
vahī ik baat jo kahnī thī tum se
vahī to an-kahī sī rah ga.ī hai
mohabbat mein kami si rah gai hai
ki bas ek bebasi si rah gai hai
na jaane kyun hamare darmiyan ab
faqat ek barhami si rah gai hai
ajab ye saneha guzra hai hum par
tere gham ki KHushi si rah gai hai
samundar kitne aankhon mein utare
to phir kyun tishnagi si rah gai hai
nahin chaDhta hai ab yaadon ka dariya
magar ek bekali si rah gai hai
KHalish dil mein koi baqi hai ab tak
ki aankhon mein nami si rah gai hai
wahi ek baat jo kahni thi tum se
wahi to an-kahi si rah gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.