mohabbat mein koi aashiq agar fankar ban jae
mohabbat meñ koī āshiq agar fankār ban jaa.e
to phir ye ain mumkin hai ki dil bāzār ban jaa.e
tirī rāheñ tirā kūcha agar ghar-bār ban jaa.e
tirī hasrat meñ jo mar jaa.e vo me.amār ban jaa.e
vo sāhir jo banā detā hai patthar sab divānoñ ko
hai mumkin us kī lāThī bhī kabhī talvār ban jaa.e
zarā sī der bas aa jā mire dīdār kī ḳhātir
kahīñ aisā na ho ye jism bhī murdār ban jaa.e
mujhe kuchh bhī nahīñ kahnā faqat ḳhāmosh rahnā hai
na jaane kab mire hāthoñ koī shahkār ban jaa.e
fanā ho jā.eñge ik roz duniyā ke sabhī zālim
hamārā ik mujāhid sā agar kirdār ban jaa.e
ḳhudārā 'faiz' ko itnī nahīñ daulat atā karnā
kahīñ aisā na ho bhaa.ī mirā ġhaddār ban jaa.e
mohabbat mein koi aashiq agar fankar ban jae
to phir ye ain mumkin hai ki dil bazar ban jae
teri rahen tera kucha agar ghar-bar ban jae
teri hasrat mein jo mar jae wo meamar ban jae
wo sahir jo bana deta hai patthar sab diwanon ko
hai mumkin us ki laThi bhi kabhi talwar ban jae
zara si der bas aa ja mere didar ki KHatir
kahin aisa na ho ye jism bhi murdar ban jae
mujhe kuchh bhi nahin kahna faqat KHamosh rahna hai
na jaane kab mere hathon koi shahkar ban jae
fana ho jaenge ek roz duniya ke sabhi zalim
hamara ek mujahid sa agar kirdar ban jae
KHudara 'faiz' ko itni nahin daulat ata karna
kahin aisa na ho bhai mera ghaddar ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.