mohabbat mein luTa kar din-o-dil ye aabru pai
mohabbat meñ luTā kar dīn-o-dil ye aabrū paa.ī
koī kahtā hai dīvāna koī kahtā hai saudā.ī
ye farzānoñ kī duniyā ek dīvānoñ kī duniyā hai
jo puḳhta-kār-e-ulfat haiñ unheñ kahte haiñ saudā.ī
'ayāñ har barg-o-gul se hai vahī jān-e-bahār apnā
ye rang-o-bū kī duniyā hai usī kī bazm-ārā.ī
agar un kī ġhalat-andāz nazreñ mujh pe paḌ jaa.eñ
to merā baḳht-e-ḳhufta jaag uTThe le ke añgḌā.ī
huā ḳhalvat-sarā-e-dil meñ ik hangāma kyoñ barpā
hameñ baiThe-biThā.e aaj phir ye kis kī yaad aa.ī
murādeñ jin kī bar aatī haiñ aise bhī haiñ duniyā meñ
yahāñ to ārzū-e-marg bhī apnī na bar aa.ī
na jaane kyā kaheñ ai 'ḳhār' āh-e-sard ko merī
mire naale ko jo be-vaqt kī kahte haiñ shahnā.ī
mohabbat mein luTa kar din-o-dil ye aabru pai
koi kahta hai diwana koi kahta hai saudai
ye farzanon ki duniya ek diwanon ki duniya hai
jo puKHta-kar-e-ulfat hain unhen kahte hain saudai
'ayan har barg-o-gul se hai wahi jaan-e-bahaar apna
ye rang-o-bu ki duniya hai usi ki bazm-arai
agar un ki ghalat-andaz nazren mujh pe paD jaen
to mera baKHt-e-KHufta jag uTThe le ke angDai
hua KHalwat-sara-e-dil mein ek hangama kyon barpa
hamein baiThe-biThae aaj phir ye kis ki yaad aai
muraden jin ki bar aati hain aise bhi hain duniya mein
yahan to aarzu-e-marg bhi apni na bar aai
na jaane kya kahen ai 'KHar' aah-e-sard ko meri
mere nale ko jo be-waqt ki kahte hain shahnai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.