mohabbat mein mere sar par yahi ilzam lazim tha
mohabbat meñ mire sar par yahī ilzām lāzim thā
zamāne bhar meñ ho jaanā mirā badnām lāzim thā
sunā.ūñ tishnagī kā haal kyā zinda huuñ maiñ ab tak
mire hoñToñ pe har lamha tumhārā naam lāzim thā
nichoḌā hai lahū apnā likhe tab sher haiñ maiñ ne
kahīñ par vazn lāzim thā kahīñ ilhām lāzim thā
hazāroñ ḳhvāhishoñ kā ghar ḳharīde kaun ab is ko
bhare bāzār meñ dil kā purānā daam lāzim thā
nasha chaḌhnā bhī lāzim thā bharī mahfil meñ ai logo
pilā denā vo saaqī kā mujhe bhī jaam lāzim thā
bahut arsa huā ab to jahāñ se 'shoḳh' ko guzre
bahut gustāḳh thā us kā yahī anjām lāzim thā
mohabbat mein mere sar par yahi ilzam lazim tha
zamane bhar mein ho jaana mera badnam lazim tha
sunaun tishnagi ka haal kya zinda hun main ab tak
mere honTon pe har lamha tumhaara nam lazim tha
nichoDa hai lahu apna likhe tab sher hain main ne
kahin par wazn lazim tha kahin ilham lazim tha
hazaron KHwahishon ka ghar KHaride kaun ab is ko
bhare bazar mein dil ka purana dam lazim tha
nasha chaDhna bhi lazim tha bhari mahfil mein ai logo
pila dena wo saqi ka mujhe bhi jam lazim tha
bahut arsa hua ab to jahan se 'shoKH' ko guzre
bahut gustaKH tha us ka yahi anjam lazim tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.