mohabbat mein meri hoga asar aahista aahista
mohabbat meñ mirī hogā asar āhista āhista
haañ tum ho jāoge mere magar āhista āhista
naqāb us ne haTā.ī apne chehre se zarā aise
ki badlī se nikaltā ho qamar āhista āhista
bhalā kaise bacheñ ham vaar se us ke batāo tum
ye jhuk kar uTh rahī hai jo nazar āhista āhista
dabī chingāriyāñ dil kī kuredo mat adāoñ se
kahīñ sho'la na ban jaa.e sharar āhista āhista
maiñ hāl-e-dil batā to duuñ magar rusvā.ī kā Dar hai
idhar kī baat hotī hai udhar āhista āhista
huā 'zuhaib' dīvāna kisī ke 'ishq meñ dekho
galī-kūchoñ meñ phailegī ḳhabar āhista āhista
mohabbat mein meri hoga asar aahista aahista
han tum ho jaoge mere magar aahista aahista
naqab us ne haTai apne chehre se zara aise
ki badli se nikalta ho qamar aahista aahista
bhala kaise bachen hum war se us ke batao tum
ye jhuk kar uTh rahi hai jo nazar aahista aahista
dabi chingariyan dil ki kuredo mat adaon se
kahin sho'la na ban jae sharar aahista aahista
main haal-e-dil bata to dun magar ruswai ka Dar hai
idhar ki baat hoti hai udhar aahista aahista
hua 'zuhaib' diwana kisi ke 'ishq mein dekho
gali-kuchon mein phailegi KHabar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.