mohabbat mein sukun jaanam baDi mushkil se milta hai
mohabbat mein sukun jaanam baDi mushkil se milta hai
Ritu Singh Rajput Rit
MORE BYRitu Singh Rajput Rit
mohabbat meñ sukūñ jānam baḌī mushkil se miltā hai
miTānā paḌtā hai ḳhud ko tabhī dil dil se miltā hai
use mat pūchhnā uljhā rahā jo sirf phūloñ meñ
patā sab rāstoñ kā kāñToñ ke bismil se miltā hai
ye hogī bhuul dil key jo safar āsān ye samjhe
baḌī TeḌhī mashaqqat se safar manzil se miltā hai
baḌe jab se hue haiñ ham faqat rozī meñ uljhe haiñ
sukūñ kā ek din bhī ab baḌī mushkil se miltā hai
nigāhoñ meñ basā kar jo kaleja bhāñp letā thā
vahī dilbar ab ik ḳhanjar liye qātil se miltā hai
ye kaisī chaah hai milnā hai sāgar se nadī ban ke
bhalā kyā Duub kar koī kabhī sāhil se miltā hai
mohabbat mein sukun jaanam baDi mushkil se milta hai
miTana paDta hai KHud ko tabhi dil dil se milta hai
use mat puchhna uljha raha jo sirf phulon mein
pata sab raston ka kanTon ke bismil se milta hai
ye hogi bhul dil key jo safar aasan ye samjhe
baDi TeDhi mashaqqat se safar manzil se milta hai
baDe jab se hue hain hum faqat rozi mein uljhe hain
sukun ka ek din bhi ab baDi mushkil se milta hai
nigahon mein basa kar jo kaleja bhanp leta tha
wahi dilbar ab ek KHanjar liye qatil se milta hai
ye kaisi chah hai milna hai sagar se nadi ban ke
bhala kya Dub kar koi kabhi sahil se milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.