mohabbat mein sukun mahrumiyon ke baad aata hai
mohabbat meñ sukūñ mahrūmiyoñ ke ba.ad aatā hai
ki jab har aasrā miT jaa.e tab dil chain paatā hai
ḳhud apnā hī lahū āvāz ko rañgīñ banātā hai
kuchal jaatā hai jab dil tab kahīñ naġhma sunātā hai
ye kyā jabr-e-mashiyat hai ye kyā jabr-e-sadāqat hai
ki jis ko ham bhulānā chāhte haiñ yaad aatā hai
ye kyā zid hai ki duniyā bhī rakho aur jī na mailā ho
ye duniyā ḳhush hī tab hotī hai jab dil TuuT jaatā hai
karam kaisā yahāñ to narm lahje se bhī dahshat hai
tabī.at ḳhush to ho jaatī hai par dil thartharātā hai
mohabbat mein sukun mahrumiyon ke baad aata hai
ki jab har aasra miT jae tab dil chain pata hai
KHud apna hi lahu aawaz ko rangin banata hai
kuchal jata hai jab dil tab kahin naghma sunata hai
ye kya jabr-e-mashiyat hai ye kya jabr-e-sadaqat hai
ki jis ko hum bhulana chahte hain yaad aata hai
ye kya zid hai ki duniya bhi rakho aur ji na maila ho
ye duniya KHush hi tab hoti hai jab dil TuT jata hai
karam kaisa yahan to narm lahje se bhi dahshat hai
tabiat KHush to ho jati hai par dil thartharaata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.