mohabbat mein teri wafa chahta hun
mohabbat meñ terī vafā chāhtā huuñ
vafā tujh se o dilrubā chāhtā huuñ
nahīñ tāqat-e-zabt yārab mujhe ab
maiñ ahvāl dil kā kahā chāhtā huuñ
fanā ho ke rāh-e-mohabbat meñ ai jaañ
ba-faiz-e-tamanna baqā chāhtā huuñ
zarā dekh lo aa ke pahlī nazar se
ki maiñ dard-e-dil kuchh sivā chāhtā huuñ
bahut ġham-zada huuñ bahut ġham-zada huuñ
maiñ ab ek dard-āshnā chāhtā huuñ
mirā haal 'aslam' koī un se pūchhe
ki maiñ ishq meñ un se kyā chāhtā huuñ
mohabbat mein teri wafa chahta hun
wafa tujh se o dilruba chahta hun
nahin taqat-e-zabt yarab mujhe ab
main ahwal dil ka kaha chahta hun
fana ho ke rah-e-mohabbat mein ai jaan
ba-faiz-e-tamanna baqa chahta hun
zara dekh lo aa ke pahli nazar se
ki main dard-e-dil kuchh siwa chahta hun
bahut gham-zada hun bahut gham-zada hun
main ab ek dard-ashna chahta hun
mera haal 'aslam' koi un se puchhe
ki main ishq mein un se kya chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.