mohabbat mein Thani aksar yahan tak
mohabbat meñ Thanī aksar yahāñ tak
ki pahuñche mārke tiir o kamāñ tak
chale nāvak khiñchī zālim kamāñ tak
kahāñ tak imtihāñ āḳhir kahāñ tak
chale jaate haiñ āvāz-e-jaras par
pahuñch jā.eñge bichhḌe kārvāñ tak
havā-e-shauq ke jhoñke salāmat
rahoge tum pas-e-parda kahāñ tak
na vo ayyār mujh se pūchhtā hai
na dil kī baat aatī hai zabāñ tak
usī sar ko sar-e-shorīda kahiye
jo pahuñche us ke sañg-e-āstāñ tak
niyāz o naaz ke charche raheñge
hamārī aur tumhārī dāstāñ tak
'mubārak' ko koī din aur sun lo
bayāñ kā lutf hai us ḳhush-bayāñ tak
mohabbat mein Thani aksar yahan tak
ki pahunche marke tir o kaman tak
chale nawak khinchi zalim kaman tak
kahan tak imtihan aaKHir kahan tak
chale jate hain aawaz-e-jaras par
pahunch jaenge bichhDe karwan tak
hawa-e-shauq ke jhonke salamat
rahoge tum pas-e-parda kahan tak
na wo ayyar mujh se puchhta hai
na dil ki baat aati hai zaban tak
usi sar ko sar-e-shorida kahiye
jo pahunche us ke sang-e-astan tak
niyaz o naz ke charche rahenge
hamari aur tumhaari dastan tak
'mubarak' ko koi din aur sun lo
bayan ka lutf hai us KHush-bayan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.