mohabbat mein ye kaisi bandagi hai
mohabbat meñ ye kaisī bandagī hai
use paane kī zid har din lagī hai
mujhe ek ghūñT koī de do paanī
laboñ par yaar mere tishnagī hai
huā āzād terī qaid se bhī
bas ab maiñ huuñ mirī āvārgī hai
mohabbat kī lagī hai aag dil meñ
na jaane tujh se kaisī dil-lagī hai
vo bin-dekhe bhī kartā hai bharosa
faqat 'zīshān' kī ye sādgī hai
mohabbat mein ye kaisi bandagi hai
use pane ki zid har din lagi hai
mujhe ek ghunT koi de do pani
labon par yar mere tishnagi hai
hua aazad teri qaid se bhi
bas ab main hun meri aawargi hai
mohabbat ki lagi hai aag dil mein
na jaane tujh se kaisi dil-lagi hai
wo bin-dekhe bhi karta hai bharosa
faqat 'zishan' ki ye sadgi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.