Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mein zaban ko main nawa-sanj-e-fughan kar lun

Tajwar Najibabadi

mohabbat mein zaban ko main nawa-sanj-e-fughan kar lun

Tajwar Najibabadi

MORE BYTajwar Najibabadi

    mohabbat meñ zabāñ ko maiñ navā-sañj-e-fuġhāñ kar luuñ

    shikasta dil aahoñ ko harīf-e-nā-tavāñ kar luuñ

    na maiñ badlā na vo badle na dil aarzū badlī

    maiñ kyuuñ kar e'tibār-e-inqalāb-e-nā-tavāñ kar luuñ

    na kar mahv-e-tamāshā ai tahayyur itnī mohlat de

    maiñ un se dāstān-e-dard-e-dil ko to bayāñ kar luuñ

    sabab har ek mujh se pūchhtā hai mere hone

    ilāhī saarī duniyā ko maiñ kyuuñ kar rāz-dāñ kar luuñ

    mohabbat mein zaban ko main nawa-sanj-e-fughan kar lun

    shikasta dil ki aahon ko harif-e-na-tawan kar lun

    na main badla na wo badle na dil ki aarzu badli

    main kyun kar e'tibar-e-inqalab-e-na-tawan kar lun

    na kar mahw-e-tamasha ai tahayyur itni mohlat de

    main un se dastan-e-dard-e-dil ko to bayan kar lun

    sabab har ek mujh se puchhta hai mere hone ka

    ilahi sari duniya ko main kyun kar raaz-dan kar lun

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Habib Wali Mohammad

    Habib Wali Mohammad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now