Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat mere jine ka sahaara ho to achchha hai

Abdullah Minhaj Khan

mohabbat mere jine ka sahaara ho to achchha hai

Abdullah Minhaj Khan

MORE BYAbdullah Minhaj Khan

    mohabbat mere jiine sahārā ho to achchhā hai

    ye dil un nigāhoñ nazāra ho to achchhā hai

    bazāhir to mulāqāteñ tumhārī ham se hotī haiñ

    tumhārā har ghaḌī ham ko ishāra ho to achchhā hai

    badal jaa.eñ jo ik pal meñ kabhī bhī raas na aa.eñ

    to aise dostoñ se bhī kināra ho to achchhā hai

    hamāre jaise the ahbāb jaisī un bāteñ thiiñ

    hamārā bhī unhīñ jaisā nazāra ho to achchhā hai

    ham apne dushmanoñ ko bhī sadā ḳhush-hāl rakhte haiñ

    hamārā chāhe ġhurbat meñ guzārā ho to achchhā hai

    mohabbat aisī shai hai jis ko ham kuchh kah nahīñ sakte

    phir is ke badle meñ chāhe ḳhasāra ho to achchhā hai

    vafā raah par 'minhāj' chalte jā.eñge lekin

    bulandī par muqaddar sitāra ho to achchhā hai

    mohabbat mere jine ka sahaara ho to achchha hai

    ye dil un ki nigahon ka nazara ho to achchha hai

    bazahir to mulaqaten tumhaari hum se hoti hain

    tumhaara har ghaDi hum ko ishaara ho to achchha hai

    badal jaen jo ek pal mein kabhi bhi ras na aaen

    to aise doston se bhi kinara ho to achchha hai

    hamare jaise the ahbab jaisi un ki baaten thin

    hamara bhi unhin jaisa nazara ho to achchha hai

    hum apne dushmanon ko bhi sada KHush-haal rakhte hain

    hamara chahe ghurbat mein guzara ho to achchha hai

    mohabbat aisi shai hai jis ko hum kuchh kah nahin sakte

    phir is ke badle mein chahe KHasara ho to achchha hai

    wafa ki rah par 'minhaj' chalte jaenge lekin

    bulandi par muqaddar ka sitara ho to achchha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now