mohabbat meri rang lane lagi hai
mohabbat mirī rañg laane lagī hai
ki un kī nazar muskurāne lagī hai
ye chheḌā hai kis ne rabāb-e-mohabbat
ki har saañs kuchh gungunāne lagī hai
vahī le ga.e haiñ sakūñ zindagī kā
jinheñ har tamannā bulāne lagī hai
shab-e-ġham marī be-qarārī se thak kar
sitāroñ ko bhī niiñd aane lagī hai
unheñ pā ke mahsūs kartā huuñ 'irfāñ'
ki duniyā mujhe āzmāne lagī hai
mohabbat meri rang lane lagi hai
ki un ki nazar muskurane lagi hai
ye chheDa hai kis ne rabab-e-mohabbat
ki har sans kuchh gungunane lagi hai
wahi le gae hain sakun zindagi ka
jinhen har tamanna bulane lagi hai
shab-e-gham mari be-qarari se thak kar
sitaron ko bhi nind aane lagi hai
unhen pa ke mahsus karta hun 'irfan'
ki duniya mujhe aazmane lagi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.