mohabbat muskuraati ja rahi hai
mohabbat muskurātī jā rahī hai
tumhārī yaad aatī jā rahī hai
tumhārī muskurāhaT yuuñ hai jaise
sabā ġhunche khilātī jā rahī hai
tumhārī dil-barāna bevafā.ī
mirī hastī banātī jā rahī hai
vo jaise jaise khulte jā rahe haiñ
bahār āñchal uThātī jā rahī hai
ye kaun aayā hai dariyā ke kināre
fazā meñ lahr aatī jā rahī hai
nasīm-e-sub.h se koī ye kah de
guloñ ko kyoñ hañsātī jā rahī hai
zamāna ko samajhtā jā rahā huuñ
sa.ūbat raas aatī jā rahī hai
koī hai nosh tishna-lab hai shāyad
ghaTā aañsū bahātī jā rahī hai
uThī hai gardish-e-daurāñ kī mayyat
ghaTā kāñdhā lagātī jā rahī hai
bahut kam-zarf hai 'bismil' ye duniyā
yahī āvāz aatī rahī hai
mohabbat muskuraati ja rahi hai
tumhaari yaad aati ja rahi hai
tumhaari muskurahaT yun hai jaise
saba ghunche khilati ja rahi hai
tumhaari dil-barana bewafai
meri hasti banati ja rahi hai
wo jaise jaise khulte ja rahe hain
bahaar aanchal uThati ja rahi hai
ye kaun aaya hai dariya ke kinare
faza mein lahr aati ja rahi hai
nasim-e-subh se koi ye kah de
gulon ko kyon hansati ja rahi hai
zamana ko samajhta ja raha hun
saubat ras aati ja rahi hai
koi hai nosh tishna-lab hai shayad
ghaTa aansu bahati ja rahi hai
uThi hai gardish-e-dauran ki mayyat
ghaTa kandha lagati ja rahi hai
bahut kam-zarf hai 'bismil' ye duniya
yahi aawaz aati rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.