mohabbat nae rang dikhla rahi hai
mohabbat na.e rang dikhlā rahī hai
ġhamoñ se ḳhushī kī mahak aa rahī hai
mohabbat unheñ ab mirī bhā rahī hai
ki achchhe dinoñ kī ḳhabar aa rahī hai
mohabbat hī ban kar ba-rang-e-‘ibādat
qarīb-e-ḳhudā ham ko pahuñchā rahī hai
mohabbat zarūrat hai duniyā kī lekin
vo merī mohabbat ko Thukrā rahī hai
koī daur ho dosto saarī duniyā
hamārī vafā se shanāsā rahī hai
rah-e-‘āshiqī meñ baḌī muddatoñ tak
mirī zindagī bhī tamāsha rahī hai
hameñ kah diyā bevafā kaise tum ne
ye duniyā hamārī qasam khā rahī hai
marīz-e-mohabbat hai kis ke havāle
na tum aa rahe ho na maut aa rahī hai
mirī ḳhasta hālat pe sau baar afsos
'adīb' aap ko bhī hañsī aa rahī hai
mohabbat nae rang dikhla rahi hai
ghamon se KHushi ki mahak aa rahi hai
mohabbat unhen ab meri bha rahi hai
ki achchhe dinon ki KHabar aa rahi hai
mohabbat hi ban kar ba-rang-e-‘ibaadat
qarib-e-KHuda hum ko pahuncha rahi hai
mohabbat zarurat hai duniya ki lekin
wo meri mohabbat ko Thukra rahi hai
koi daur ho dosto sari duniya
hamari wafa se shanasa rahi hai
rah-e-‘ashiqi mein baDi muddaton tak
meri zindagi bhi tamasha rahi hai
hamein kah diya bewafa kaise tum ne
ye duniya hamari qasam kha rahi hai
mariz-e-mohabbat hai kis ke hawale
na tum aa rahe ho na maut aa rahi hai
meri KHasta haalat pe sau bar afsos
'adib' aap ko bhi hansi aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.