mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai
mohabbat naġhma bhī hai saaz bhī hai
shikast-e-sāz kī āvāz bhī hai
nahīñ ye maut sirf anjām-e-hastī
hayāt-e-nau kā ik āġhāz bhī hai
mohabbat yuuñ to hai ik lafz-e-sāda
jo samjho to fasāna-sāz bhī hai
qafas parvāz-dushman to hai lekin
qafas ik dā'vat-e-parvāz bhī hai
maiñ terā raaz kholūñ bhī to kyūñkar
ki terā raaz merā raaz bhī hai
mohabbat naghma bhi hai saz bhi hai
shikast-e-saz ki aawaz bhi hai
nahin ye maut sirf anjam-e-hasti
hayat-e-nau ka ek aaghaz bhi hai
mohabbat yun to hai ek lafz-e-sada
jo samjho to fasana-saz bhi hai
qafas parwaz-dushman to hai lekin
qafas ek da'wat-e-parwaz bhi hai
main tera raaz kholun bhi to kyunkar
ki tera raaz mera raaz bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.