Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat ne kya kya na aanen nikalin

Mushafi Ghulam Hamdani

mohabbat ne kya kya na aanen nikalin

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    mohabbat ne kyā kyā na aaneñ nikālīñ

    ki tār-e-qalam ne zabāneñ nikālīñ

    huā haath us lahū se hinā.ī

    zi-bas us ne kushtoñ jāneñ nikālīñ

    vo laḌkā thā jab tak ye saj-dhaj kahāñ thī

    javāñ hote us ne shāneñ nikālīñ

    lagā tiir aa ke 'mānī' ke dil par

    jab in abruoñ kamāneñ nikālīñ

    shubah gumāñ thā na yāroñ ko jis

    maiñ vaañ la.al o gauhar kāneñ nikālīñ

    phisal gayā kilk-e-tasvīr-e-'mānī'

    kamar khīñch kar jūñhī rāneñ nikālīñ

    zahe kilk-e-san.at ki jis ne zamīñ par

    bahāreñ banā.īñ ḳhazāneñ nikālīñ

    galā Dok meñ garche thā 'mus.hafī'

    par us par bhī do-chār tāneñ nikālīñ

    mohabbat ne kya kya na aanen nikalin

    ki tar-e-qalam ne zabanen nikalin

    hua hath us ka lahu se hinai

    zi-bas us ne kushton ki jaanen nikalin

    wo laDka tha jab tak ye saj-dhaj kahan thi

    jawan hote hi us ne shanen nikalin

    laga tir sa aa ke 'mani' ke dil par

    jab in abruon ki kamanen nikalin

    shubah ka guman tha na yaron ko jis ja

    main wan lal o gauhar ki kanen nikalin

    phisal hi gaya kilk-e-taswir-e-'mani'

    kamar khinch kar junhi ranen nikalin

    zahe kilk-e-sanat ki jis ne zamin par

    bahaaren banain KHazanen nikalin

    gala Dok mein garche tha 'mushafi' ka

    par us par bhi do-chaar tanen nikalin

    Source :
    • Book : kulliyat-e-mas.hafii (Pg. 177)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now