mohabbat par na bhulo mohabbat be-kasi hai
mohabbat par na bhūlo mohabbat be-kasī hai
sukūn-e-sarv-o-sumbul sab apnī sādgī hai
kahāñ vo be-ḳhudī thī ki ḳhud ham be-ḳhabar the
ab itnī bekalī hai ki duniyā jāntī hai
kaho mujh se ki dil meñ nahīñ koī shikāyat
tabī.at manchalī hai bahāne DhūñDtī hai
namak sā guftugū meñ anokhī muskurāhaT
badan par dhīre-dhīre qayāmat aa rahī hai
tujhe kaise dikhā.ūñ ye rāteñ ye ujāle
javānī so ga.ī hai mohabbat jāgtī hai
usī kā shikva har dam usī kā zikr sab se
agar ye dushmanī hai to achchhī dushmanī hai
thakan hai jāñ-fazā sī barastī hai udāsī
sitāre kah rahe haiñ ki manzil aa ga.ī hai
palaT kar yuuñ na dekho umaDte bādaloñ se
bahār-e-be-ḳhizāñ bhī saraktī chāñdnī hai
mohabbat par na bhulo mohabbat be-kasi hai
sukun-e-sarw-o-sumbul sab apni sadgi hai
kahan wo be-KHudi thi ki KHud hum be-KHabar the
ab itni bekali hai ki duniya jaanti hai
kaho mujh se ki dil mein nahin koi shikayat
tabiat manchali hai bahane DhunDti hai
namak sa guftugu mein anokhi muskurahaT
badan par dhire-dhire qayamat aa rahi hai
tujhe kaise dikhaun ye raaten ye ujale
jawani so gai hai mohabbat jagti hai
usi ka shikwa har dam usi ka zikr sab se
agar ye dushmani hai to achchhi dushmani hai
thakan hai jaan-faza si barasti hai udasi
sitare kah rahe hain ki manzil aa gai hai
palaT kar yun na dekho umaDte baadalon se
bahaar-e-be-KHizan bhi sarakti chandni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.