mohabbat pe shayad zawal aa raha hai
mohabbat pe shāyad zavāl aa rahā hai
ki ab zindagī kā savāl aa rahā hai
fazā mahkī mahkī hai sehn-e-chaman kī
jo aaj ik yahāñ gul-misāl aa rahā hai
karūñ kis tarah un se tark-e-ta.alluq
mujhe un ke dil kā ḳhayāl aa rahā hai
ye kis ke tasavvur meñ ai jān-e-armāñ
tujhe bhī sar-e-bazm haal aa rahā hai
guzar sā gayā sāneha kyā chaman meñ
guloñ par jo rañg-e-malāl aa rahā hai
ye dasht-e-havas hai jafāoñ kī duniyā
idhar kyuuñ hujūm-e-ġhazāl aa rahā hai
vo bol uTThe dekhā jo āshiq ko aate
idhar koī āshufta-hāl aa rahā hai
'zafar' ye hai us but kī yādoñ kā sadqa
shab-e-hijr lutf-e-visāl aa rahā hai
mohabbat pe shayad zawal aa raha hai
ki ab zindagi ka sawal aa raha hai
faza mahki mahki hai sehn-e-chaman ki
jo aaj ek yahan gul-misal aa raha hai
karun kis tarah un se tark-e-talluq
mujhe un ke dil ka KHayal aa raha hai
ye kis ke tasawwur mein ai jaan-e-arman
tujhe bhi sar-e-bazm haal aa raha hai
guzar sa gaya saneha kya chaman mein
gulon par jo rang-e-malal aa raha hai
ye dasht-e-hawas hai jafaon ki duniya
idhar kyun hujum-e-ghazal aa raha hai
wo bol uTThe dekha jo aashiq ko aate
idhar koi aashufta-haal aa raha hai
'zafar' ye hai us but ki yaadon ka sadqa
shab-e-hijr lutf-e-visal aa raha hai
- Book : Sharar-e-sang (Pg. 114)
- Author : Zafar Ansari Zafar
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.