Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbat phir mohabbat phir mohabbat phir mohabbat hai

Kashif Syed

mohabbat phir mohabbat phir mohabbat phir mohabbat hai

Kashif Syed

MORE BYKashif Syed

    mohabbat phir mohabbat phir mohabbat phir mohabbat hai

    jahāñ ye silsila TuuTā samajh lenā qayāmat hai

    amā sīkho zarā ham se mohabbat kaise karte haiñ

    use jis se mohabbat hai hameñ us se mohabbat hai

    ye titlī phuul ḳhushbū kyā koī saanī nahīñ us

    tumheñ kaise batā.ūñ maiñ vo kitnī ḳhūbsūrat hai

    yahī ik baat ab donoñ peshānī pe likkhī hai

    mujhe terī zarūrat hai mujhe terī zarūrat hai

    mohabbat diloñ qibla-e-avval hai āḳhir bhī

    musalsal do diloñ rū-ba-rū rahnā ibādat hai

    mohabbat naam ke us shaḳhs ko ham se koī pūchhe

    vafā poshāk aur saada mizājī jis rangat hai

    ḳhudā ne anginat chehre banā.e hoñge duniyā meñ

    mirī āñkhoñ meñ 'kāshif' aaj tak bas ek sūrat hai

    mohabbat phir mohabbat phir mohabbat phir mohabbat hai

    jahan ye silsila TuTa samajh lena qayamat hai

    ama sikho zara hum se mohabbat kaise karte hain

    use jis se mohabbat hai hamein us se mohabbat hai

    ye titli phul KHushbu kya koi sani nahin us ka

    tumhein kaise bataun main wo kitni KHubsurat hai

    yahi ek baat ab donon ki peshani pe likkhi hai

    mujhe teri zarurat hai mujhe teri zarurat hai

    mohabbat hi dilon ka qibla-e-awwal hai aaKHir bhi

    musalsal do dilon ka ru-ba-ru rahna ibaadat hai

    mohabbat nam ke us shaKHs ko hum se koi puchhe

    wafa poshak aur sada mizaji jis ki rangat hai

    KHuda ne anginat chehre banae honge duniya mein

    meri aankhon mein 'kashif' aaj tak bas ek surat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now