mohabbat phul bhi hai Khaar bhi hai
mohabbat phuul bhī hai ḳhaar bhī hai
ye vīrāna bhī hai gulzār bhī hai
farozāñ karke dekhe sham-e-dil ko
patañgā paikar-e-anvār bhī hai
kamāl-e-āgahī par marne vaalo
kamāl-e-āgahī āzār bhī hai
tamāsha ban gayā jis kā tahayyur
nazar vo lā.eq-e-dīdār bhī hai
go laakh ārām ho kunj-e-qafas meñ
asīrī ruuh kā āzār bhī hai
yahāñ shām-o-sahar bikte haiñ yūsuf
ye duniyā misr kā bāzār bhī hai
jo dil hai zāmin-e-mehr-o-mohabbat
vahī dil bānī-e-paikār bhī hai
vo 'sābir' naam hai rindoñ meñ jis kā
sunā hai mahram-e-asrār bhī hai
mohabbat phul bhi hai KHar bhi hai
ye virana bhi hai gulzar bhi hai
farozan karke dekhe sham-e-dil ko
patanga paikar-e-anwar bhi hai
kamal-e-agahi par marne walo
kamal-e-agahi aazar bhi hai
tamasha ban gaya jis ka tahayyur
nazar wo laeq-e-didar bhi hai
go lakh aaram ho kunj-e-qafas mein
asiri ruh ka aazar bhi hai
yahan sham-o-sahar bikte hain yusuf
ye duniya misr ka bazar bhi hai
jo dil hai zamin-e-mehr-o-mohabbat
wahi dil bani-e-paikar bhi hai
wo 'sabir' nam hai rindon mein jis ka
suna hai mahram-e-asrar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.