mohabbat rahnuma apni mohabbat rahbar apni
mohabbat rahnumā apnī mohabbat rāhbar apnī
udhar niklī tirī manzil jidhar uTThī nazar apnī
dil-e-be-jazb apnā hai na āh-e-be-asar apnī
in ā.īno meñ dekheñ vo adā.eñ jalva-gar apnī
kahāñ se lā.egī umr-e-do-roza 'ahd-e-rafta ko
kahāñ yādash-ba-ḳhair ab shaam apnī vo sahar apnī
mizaj-e-husn-e-ḳhud-bīñ ko mohabbat kī nazar samjhī
samajhte haiñ mohabbat kī nazar ko vo nazar apnī
kahāñ hai husn ko mastī meñ hosh-e-iltefāt ai dil
vo kyā apnī ḳhabar leñge nahīñ jin ko ḳhabar apnī
'zahīn' apne liye dair-o-haram donoñ barābar haiñ
jidhar se vo guzarte haiñ vahī hai rahguzar apnī
mohabbat rahnuma apni mohabbat rahbar apni
udhar nikli teri manzil jidhar uTThi nazar apni
dil-e-be-jazb apna hai na aah-e-be-asar apni
in aaino mein dekhen wo adaen jalwa-gar apni
kahan se laegi umr-e-do-roza 'ahd-e-rafta ko
kahan yaadash-ba-KHair ab sham apni wo sahar apni
mizaj-e-husn-e-KHud-bin ko mohabbat ki nazar samjhi
samajhte hain mohabbat ki nazar ko wo nazar apni
kahan hai husn ko masti mein hosh-e-iltefat ai dil
wo kya apni KHabar lenge nahin jin ko KHabar apni
'zahin' apne liye dair-o-haram donon barabar hain
jidhar se wo guzarte hain wahi hai rahguzar apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.