mohabbat rog hai jaan ka nahin isko dawa koi
mohabbat rog hai jaañ kā nahīñ is kī davā koī
agar be-maut hai marnā to phir ham duur hī achchhe
zamāna roktā hai jab baġhāvat jaag uThtī hai
miTā detī hai har had ko to phir majbūr hī achchhe
damaktā hijr āñkhoñ se hai ik mahtāb kī mānind
musalsal aag meñ jalnā hai to be-nūr hī achchhe
diloñ ke qaid-ḳhānoñ meñ umañgeñ faḌfaḌātī haiñ
bahut mushkil milan hai phir to ham mahsūr hī achchhe
duhā.ī laakh de lo par kahīñ miltā nahīñ bosa
bagūlā bebasī kā hai to ham maġhrūr hī achchhe
mohabbat rog hai jaan ka nahin is ki dawa koi
agar be-maut hai marna to phir hum dur hi achchhe
zamana rokta hai jab baghawat jag uThti hai
miTa deti hai har had ko to phir majbur hi achchhe
damakta hijr aankhon se hai ek mahtab ki manind
musalsal aag mein jalna hai to be-nur hi achchhe
dilon ke qaid-KHanon mein umangen faDfaDati hain
bahut mushkil milan hai phir to hum mahsur hi achchhe
duhai lakh de lo par kahin milta nahin bosa
bagula bebasi ka hai to hum maghrur hi achchhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.