mohabbat se guzar jaana hamara
mohabbat se guzar jaanā hamārā
na thā āsān mar jaanā hamārā
vahāñ jab muntazir koī nahīñ hai
nahīñ bantā udhar jaanā hamārā
zarā tum vaqt kī raftār dekho
kahāñ mumkin Thahar jaanā hamārā
tumhāre rāste meñ aa ga.e haiñ
bahut mushkil hai ghar jaanā hamārā
kahānī kā to ruḳh hī moḌ degā
kisī kirdār par jaanā hamārā
hamārī jaan ḳhatre meñ rahegī
zarūrī hai mukar jaanā hamārā
'azīm' apnī talab meñ jī rahe haiñ
simaTnā hai bikhar jaanā hamārā
mohabbat se guzar jaana hamara
na tha aasan mar jaana hamara
wahan jab muntazir koi nahin hai
nahin banta udhar jaana hamara
zara tum waqt ki raftar dekho
kahan mumkin Thahar jaana hamara
tumhaare raste mein aa gae hain
bahut mushkil hai ghar jaana hamara
kahani ka to ruKH hi moD dega
kisi kirdar par jaana hamara
hamari jaan KHatre mein rahegi
zaruri hai mukar jaana hamara
'azim' apni talab mein ji rahe hain
simaTna hai bikhar jaana hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.