mohabbat se hum ko mohabbat bahut hai
mohabbat se ham ko mohabbat bahut hai
hameñ ab tumhārī zarūrat bahut hai
hue 'ishq ke ham taraf-dār jab se
zamāne ko ham se 'adāvat bahut hai
in āñkhoñ kā jānam karūñ kyā mudāvā
tirī diid kī in ko 'ādat bahut hai
nahīñ chāhiye is zamāne kī ne'mat
tirī chāhatoñ kī ye daulat bahut hai
ḳhudārā in ashkoñ ko zaa.e' na kiije
ye zevar haiñ vo jin kī qīmat bahut hai
mohabbat se hum ko mohabbat bahut hai
hamein ab tumhaari zarurat bahut hai
hue 'ishq ke hum taraf-dar jab se
zamane ko hum se 'adawat bahut hai
in aankhon ka jaanam karun kya mudawa
teri did ki in ko 'adat bahut hai
nahin chahiye is zamane ki ne'mat
teri chahaton ki ye daulat bahut hai
KHudara in ashkon ko zae' na kije
ye zewar hain wo jin ki qimat bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.