Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho

Bashir Badr

kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    kabhī yuuñ bhī aa mirī aañkh meñ ki mirī nazar ko ḳhabar na ho

    mujhe ek raat navāz de magar is ke ba.ad sahar na ho

    vo baḌā rahīm o karīm hai mujhe ye sifat bhī atā kare

    tujhe bhūlne duā karūñ to mirī duā meñ asar na ho

    mire bāzuoñ meñ thakī thakī abhī mahv-e-ḳhvāb hai chāñdnī

    na uThe sitāroñ pālkī abhī āhaToñ guzar na ho

    ye ġhazal ki jaise hiran aañkh meñ pichhlī raat chāñdnī

    na bujhe ḳharābe raushnī kabhī be-charāġh ye ghar na ho

    kabhī din dhuup meñ jhuum ke kabhī shab ke phuul ko chuum ke

    yuuñ saath saath chaleñ sadā kabhī ḳhatm apnā safar na ho

    kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko KHabar na ho

    mujhe ek raat nawaz de magar is ke baad sahar na ho

    wo baDa rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare

    tujhe bhulne ki dua karun to meri dua mein asar na ho

    mere bazuon mein thaki thaki abhi mahw-e-KHwab hai chandni

    na uThe sitaron ki palki abhi aahaTon ka guzar na ho

    ye ghazal ki jaise hiran ki aankh mein pichhli raat ki chandni

    na bujhe KHarabe ki raushni kabhi be-charagh ye ghar na ho

    kabhi din ki dhup mein jhum ke kabhi shab ke phul ko chum ke

    yun hi sath sath chalen sada kabhi KHatm apna safar na ho

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jagjit Singh

    Jagjit Singh

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    BASHIR BADR - KABHI YUN BHI AA MERI AANKH MEIN Fahad Husain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now