mohabbat tujhse wabasta rahegi jawedan meri
mohabbat tujhse wabasta rahegi jawedan meri
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
mohabbat tujh se vābasta rahegī jāvedāñ merī
tire qissa ke pīchhe pīchhe hogī dāstāñ merī
kareñgī dekhiye ulfat meñ kyā rusvā.iyāñ merī
jahāñ suniye bas un kā tazkira aur dāstāñ merī
qayāmat meñ bhī jhūTī hogī sābit dāstāñ merī
kahegā ik jahāñ un kī vahāñ yā mehrbāñ merī
bahut kuchh quvvat-e-guftār hai ai mehrbāñ merī
magar haañ sāmne un ke nahīñ khultī zabāñ merī
qayāmat kā to din hai ek aur qissa hai tūlānī
bhalā din-bhar meñ kyūñkar ḳhatm hogī dāstāñ merī
vo rusvā-e-mohabbat huuñ rahūñgā yaad muddat tak
kahānī kī tarah har ghar meñ hogī dāstāñ merī
sunā.ūñ us gul-e-ḳhūbī ko kyoñ maiñ qalb kī hālat
bhalā nāzuk-dimāġhī sunñe degī dāstāñ merī
kahūñ kuchh to shikāyat hai rahūñ chup to musībat hai
bayāñ kyūñkar karūñ kuchh go-mago hai dāstāñ merī
akelā manzil-e-mulk-e-adam meñ zer-e-marqad huuñ
vo yūsuf huuñ nahīñ kuchh chaah kartā kārvāñ merī
ye dil meñ hai jo kuchh kahnā hai dāman thaam kar kah duuñ
vo mere haath pakḌeñge ki pakḌeñge zabāñ merī
phañsāyā daam meñ sayyād mujh ko ḳhush-bayānī ne
abas par tū ne katre qat.a karnī thī zabāñ merī
na chhūTā silsila vahshat kā jab tak jaañ rahī tan meñ
vo majnūñ huuñ ki taḳhte par hī utrīñ beḌiyāñ merī
mushabbak maiñ bhī tīr-e-āh se siine ko kar dūñgā
lahad jab tak banā.egā zamīñ par āsmāñ merī
mohabbat but-kade kī dil meñ hai aur qasd ka.aba kā
ab aage dekhiye taqdīr le jaa.e jahāñ merī
bhalā vaañ kaun pūchhegā mujhe kuchh ḳhair hai zāhid
maiñ huuñ kis meñ ki pursish hogī roz-e-imtihāñ merī
tasadduq aap ke insāf ke maiñ to na mānūñgā
ki bose ġhair ke hisse ke hoñ aur gāliyāñ merī
musannif ḳhuub kartā hai bayāñ tasnīf ko apnī
kisī din vo suneñ merī zabāñ se dāstāñ merī
fishār-e-qabr ne pahlū dabā.e ḳhuub hī mere
nayā mehmāñ thā ḳhātir kyoñ na kartā mezbāñ merī
qafas meñ phaḌphaḌāne par to par sayyād ne katre
jo muñh se boltā kuchh kaaT hī letā zabāñ merī
vo is sūrat se ba.ad-e-marg bhī mujh ko jalātī haiñ
dikhā dī sham.a ko tasvīr haath aa.ī jahāñ merī
har ik jalse meñ ab to hazrat-e-vā.iz ye kahte haiñ
agar ho band mai-ḳhāna to chal jaa.e dukāñ merī
tarīqa hai yahī kyā ai lahad mehmāñ kī ḳhātir kā
maiñ ḳhud be-dam huuñ tuḌvātī hai nāhaq haDDiyāñ merī
pasand aaya nahīñ ye roz kā jhagḌā raqīboñ kā
maiñ dil se baaz aaya jaan chhoḌo mehrbāñ merī
hazāroñ hijr meñ jaur-o-sitam tere uThā.e haiñ
jo himmat ho sañbhāl ik aah tū bhī āsmāñ merī
ye kuchh apnī zabāñ meñ kahtī haiñ jab paañv ghistā huuñ
ḳhudā kī shaan mujh se boltī haiñ beḌiyāñ merī
banāyā ishq ne yūsuf ko gard-e-kārvāñ āḳhir
ki pīchhe dil gayā pahle ga.ī tāb-o-tavāñ merī
paḌhī ai 'bazm' jab maiñ ne ġhazal kaT kaT ga.e hāsid
rahī har ma.arka meñ tez shamshīr-e-zabāñ merī
mohabbat tujh se wabasta rahegi jawedan meri
tere qissa ke pichhe pichhe hogi dastan meri
karengi dekhiye ulfat mein kya ruswaiyan meri
jahan suniye bas un ka tazkira aur dastan meri
qayamat mein bhi jhuTi hogi sabit dastan meri
kahega ek jahan un ki wahan ya mehrban meri
bahut kuchh quwwat-e-guftar hai ai mehrban meri
magar han samne un ke nahin khulti zaban meri
qayamat ka to din hai ek aur qissa hai tulani
bhala din-bhar mein kyunkar KHatm hogi dastan meri
wo ruswa-e-mohabbat hun rahunga yaad muddat tak
kahani ki tarah har ghar mein hogi dastan meri
sunaun us gul-e-KHubi ko kyon main qalb ki haalat
bhala nazuk-dimaghi sunne degi dastan meri
kahun kuchh to shikayat hai rahun chup to musibat hai
bayan kyunkar karun kuchh go-mago hai dastan meri
akela manzil-e-mulk-e-adam mein zer-e-marqad hun
wo yusuf hun nahin kuchh chah karta karwan meri
ye dil mein hai jo kuchh kahna hai daman tham kar kah dun
wo mere hath pakDenge ki pakDenge zaban meri
phansaya dam mein sayyaad mujh ko KHush-bayani ne
abas par tu ne katre qata karni thi zaban meri
na chhuTa silsila wahshat ka jab tak jaan rahi tan mein
wo majnun hun ki taKHte par hi utrin beDiyan meri
mushabbak main bhi tir-e-ah se sine ko kar dunga
lahad jab tak banaega zamin par aasman meri
mohabbat but-kade ki dil mein hai aur qasd kaba ka
ab aage dekhiye taqdir le jae jahan meri
bhala wan kaun puchhega mujhe kuchh KHair hai zahid
main hun kis mein ki pursish hogi roz-e-imtihan meri
tasadduq aap ke insaf ke main to na manunga
ki bose ghair ke hisse ke hon aur galiyan meri
musannif KHub karta hai bayan tasnif ko apni
kisi din wo sunen meri zaban se dastan meri
fishaar-e-qabr ne pahlu dabae KHub hi mere
naya mehman tha KHatir kyon na karta mezban meri
qafas mein phaDphaDane par to par sayyaad ne katre
jo munh se bolta kuchh kaT hi leta zaban meri
wo is surat se baad-e-marg bhi mujh ko jalati hain
dikha di shama ko taswir hath aai jahan meri
har ek jalse mein ab to hazrat-e-waiz ye kahte hain
agar ho band mai-KHana to chal jae dukan meri
tariqa hai yahi kya ai lahad mehman ki KHatir ka
main KHud be-dam hun tuDwati hai nahaq haDDiyan meri
pasand aaya nahin ye roz ka jhagDa raqibon ka
main dil se baz aaya jaan chhoDo mehrban meri
hazaron hijr mein jaur-o-sitam tere uThae hain
jo himmat ho sanbhaal ek aah tu bhi aasman meri
ye kuchh apni zaban mein kahti hain jab panw ghista hun
KHuda ki shan mujh se bolti hain beDiyan meri
banaya ishq ne yusuf ko gard-e-karwan aaKHir
ki pichhe dil gaya pahle gai tab-o-tawan meri
paDhi ai 'bazm' jab main ne ghazal kaT kaT gae hasid
rahi har marka mein tez shamshir-e-zaban meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.