mohabbat ye bata kya silsila hai
mohabbat ye batā kyā silsila hai
ye manzil hai ki merā rāsta hai
ab us kā naam dil se kyā miTānā
jo ham ne likh diyā hai likh diyā hai
dar-e-dil par sadā.eñ dene vaale
chalā bhī aa ki darvāza khulā hai
maiñ apne aap meñ gum ho gayā huuñ
tirī āvāz kā jaadū bhī kyā hai
ye kahtī hai tire hoñToñ kī jumbish
ki in se aur koī boltā hai
zamīñ hai yā koī mahtāb 'ḳhāvar'
sitāra hai ki miTTī kā diyā hai
mohabbat ye bata kya silsila hai
ye manzil hai ki mera rasta hai
ab us ka nam dil se kya miTana
jo hum ne likh diya hai likh diya hai
dar-e-dil par sadaen dene wale
chala bhi aa ki darwaza khula hai
main apne aap mein gum ho gaya hun
teri aawaz ka jadu bhi kya hai
ye kahti hai tere honTon ki jumbish
ki in se aur koi bolta hai
zamin hai ya koi mahtab 'KHawar'
sitara hai ki miTTi ka diya hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 476)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.