mohabbat zindagi ki ek kaDi hai
mohabbat zindagī kī ik kaḌī hai
magar is raah meñ mushkil baḌī hai
kabhī hoñToñ pe raqsāñ hai tabassum
kabhī āñkhoñ se sāvan kī jhaḌī hai
tumhārā zikr thā aur aa ga.e tum
tumhārī umr bhī kitnī baḌī hai
kahīñ to mil hī jā.egā Thikāna
are itnī baḌī duniyā paḌī hai
ġhazal aur tang-dāmānī kā shikva
salīqa ho to gunjā.ish baḌī hai
na aane dī vafā par aañch ham ne
magar qīmat bahut denī paḌī hai
tumhārā ġham tumhārā ġham hai 'rahmat'
koī bāñTe kisī ko kyā paḌī hai
mohabbat zindagi ki ek kaDi hai
magar is rah mein mushkil baDi hai
kabhi honTon pe raqsan hai tabassum
kabhi aankhon se sawan ki jhaDi hai
tumhaara zikr tha aur aa gae tum
tumhaari umr bhi kitni baDi hai
kahin to mil hi jaega Thikana
are itni baDi duniya paDi hai
ghazal aur tang-damani ka shikwa
saliqa ho to gunjaish baDi hai
na aane di wafa par aanch hum ne
magar qimat bahut deni paDi hai
tumhaara gham tumhaara gham hai 'rahmat'
koi banTe kisi ko kya paDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.