mohabbaten thin kuchh aisi visal ho ke raha
mohabbateñ thiiñ kuchh aisī visāl ho ke rahā
vo ḳhush-ḳhayāl mirā ham-ḳhayāl ho ke rahā
har ek parde meñ daryāft us kā husn kiyā
phir us ḳhazāne se maiñ mālā-māl ho ke rahā
lahū kī lahr meñ shādābiyoñ kī shiddat se
mizāj us kā mire hasb-e-hāl ho ke rahā
karam kā silsila jo munqat.a thā ġhaflat se
bahāl kaise na hotā bahāl ho ke rahā
ham itnā chāhte the ek dūsre ko 'zafar'
maiñ us kī aur vo merī misāl ho ke rahā
mohabbaten thin kuchh aisi visal ho ke raha
wo KHush-KHayal mera ham-KHayal ho ke raha
har ek parde mein daryaft us ka husn kiya
phir us KHazane se main mala-mal ho ke raha
lahu ki lahr mein shadabiyon ki shiddat se
mizaj us ka mere hasb-e-haal ho ke raha
karam ka silsila jo munqata tha ghaflat se
bahaal kaise na hota bahaal ho ke raha
hum itna chahte the ek dusre ko 'zafar'
main us ki aur wo meri misal ho ke raha
- Book : Mazhab e Ishq (Pg. 235)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.