mohabbaton ka chaman paemal humne kiya
mohabbatoñ kā chaman pā.emāl ham ne kiyā
ḳhud apne aap kā jiinā muhāl ham ne kiyā
jo lazzateñ haiñ dukhoñ meñ masarratoñ meñ kahāñ
milā uruuj to us ko zavāl ham ne kiyā
na kār-e-dil ke the laa.eq na kār-e-duniyā ke
jo kuchh kiyā to ġham-e-māh-o-sāl ham ne kiyā
hazār dard ke mausam guzar ga.e lekin
kabhī darāz na dast-e-savāl ham ne kiyā
ye ramz-e-ishq ye nāzuk kinā.e ham ne sikhā.e
nigāh-e-nāz tujhe be-misāl ham ne kiyā
diye tarāsh liye yaas ke añdheroñ se
ġham-e-firāq ko ḳhvāb-e-visāl ham ne kiyā
suḳhan se rañg gayā zindagī se ḳhvāb ga.e
ye zaḳhm hijr kā kyuuñ indimāl ham ne kiyā
huī hai aaj tabī.at suḳhan pe phir maa.il
so mauj-e-dard ko dil meñ bahāl ham ne kiyā
mohabbaton ka chaman paemal hum ne kiya
KHud apne aap ka jina muhaal hum ne kiya
jo lazzaten hain dukhon mein masarraton mein kahan
mila uruj to us ko zawal hum ne kiya
na kar-e-dil ke the laeq na kar-e-duniya ke
jo kuchh kiya to gham-e-mah-o-sal hum ne kiya
hazar dard ke mausam guzar gae lekin
kabhi daraaz na dast-e-sawal hum ne kiya
ye ramz-e-ishq ye nazuk kinae hum ne sikhae
nigah-e-naz tujhe be-misal hum ne kiya
diye tarash liye yas ke andheron se
gham-e-firaq ko KHwab-e-visal hum ne kiya
suKHan se rang gaya zindagi se KHwab gae
ye zaKHm hijr ka kyun indimal hum ne kiya
hui hai aaj tabiat suKHan pe phir mail
so mauj-e-dard ko dil mein bahaal hum ne kiya
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 154)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.