mohabbaton ka har ek pal udas karta hai
mohabbatoñ kā har ik pal udaas kartā hai
magar ragoñ meñ na.ī zindagī bhī bhartā hai
haqīqatoñ ke ta'āqub meñ aañkh andhī huī
har ik ujālā na.e ruup meñ ubhartā hai
maiñ apne ḳhvāboñ ke sab rang jis se māñgtī huuñ
vo aa.ina hai magar 'aks meñ utartā hai
maiñ phañs ga.ī huuñ unhī ḳhvāhishoñ ke jangal meñ
jahāñ se roz nayā tā'ziya guzartā hai
'humairā' aañkh ke sab hausloñ kī ḳhair manāo
ye vo jagah hai jahāñ ḳhvāb tak bikhartā hai
mohabbaton ka har ek pal udas karta hai
magar ragon mein nai zindagi bhi bharta hai
haqiqaton ke ta'aqub mein aankh andhi hui
har ek ujala nae rup mein ubharta hai
main apne KHwabon ke sab rang jis se mangti hun
wo aaina hai magar 'aks mein utarta hai
main phans gai hun unhi KHwahishon ke jangal mein
jahan se roz naya ta'ziya guzarta hai
'humaira' aankh ke sab hauslon ki KHair manao
ye wo jagah hai jahan KHwab tak bikharta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.