mohabbaton ka yahi masala nahin jata
mohabbatoñ kā yahī mas.ala nahīñ jaatā
ham us se kaise kaheñ kyā kahā nahīñ jaatā
vo dard hai to mire dil se kyuuñ nahīñ uThtā
ye dard vo hai jo mujh se sahā nahīñ jaatā
ye kis jahān kā naqsha diyā gayā hai mujhe
ki us kī samt koī rāsta nahīñ jaatā
zarā sī maiñ ne use ḳhud meñ kyā jagah de dī
ab apne aap meñ us se rahā nahīñ jaatā
miyāñ kabhī na kabhī dil-barāñ ke kūche meñ
mujhe batāo zarā kaun sā nahīñ jaatā
ye zindagī bhī to phir zindagī nahīñ rahtī
bichhaḌ ke us se agarche marā nahīñ jaatā
mohabbaton ka yahi masala nahin jata
hum us se kaise kahen kya kaha nahin jata
wo dard hai to mere dil se kyun nahin uThta
ye dard wo hai jo mujh se saha nahin jata
ye kis jahan ka naqsha diya gaya hai mujhe
ki us ki samt koi rasta nahin jata
zara si main ne use KHud mein kya jagah de di
ab apne aap mein us se raha nahin jata
miyan kabhi na kabhi dil-baran ke kuche mein
mujhe batao zara kaun sa nahin jata
ye zindagi bhi to phir zindagi nahin rahti
bichhaD ke us se agarche mara nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.