Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mohabbaton ke hasin KHwab jab se bunne lagi

Hira Qasmi

mohabbaton ke hasin KHwab jab se bunne lagi

Hira Qasmi

MORE BYHira Qasmi

    mohabbatoñ ke hasīñ ḳhvāb jab se bunñe lagī

    fasurdagī mire dil meñ qiyām karne lagī

    bichhaḌ ki us se azīzān-e-ġham udāsī to

    ragoñ meñ barf mānind mere jamne lagī

    ziyāñ rut meñ kabhī sar se āsmāñ jo gayā

    tire ḳhulūs chādar bhī phir sarakne lagī

    ik aisā daur bhī aaya thā rāh-e-vahshat meñ

    sadā.eñ chhoḌ ke jab maiñ sukūt sunñe lagī

    ajiib ranj aalam thā par ai ham-safarāñ

    mire qarīb tirī yaad kyoñ thirakne lagī

    mohabbaton ke hasin KHwab jab se bunne lagi

    fasurdagi mere dil mein qiyam karne lagi

    bichhaD ki us se azizan-e-gham udasi to

    ragon mein barf ki manind mere jamne lagi

    ziyan ki rut mein kabhi sar se aasman jo gaya

    tere KHulus ki chadar bhi phir sarakne lagi

    ek aisa daur bhi aaya tha rah-e-wahshat mein

    sadaen chhoD ke jab main sukut sunne lagi

    ajib ranj ka aalam tha par ai ham-safaran

    mere qarib teri yaad kyon thirakne lagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now