mohabbaton ke hasin KHwab jab se bunne lagi
mohabbatoñ ke hasīñ ḳhvāb jab se bunñe lagī
fasurdagī mire dil meñ qiyām karne lagī
bichhaḌ ki us se azīzāñ ġham-e-udāsī to
ragoñ meñ barf kī mānind mere jamne lagī
ziyāñ kī rut meñ kabhī sar se āsmāñ jo gayā
tire ḳhulūs kī chādar bhī phir sarakne lagī
ik aisā daur bhī aaya thā rāh-e-vahshat meñ
sadā.eñ chhoḌ ke jab maiñ sukūt sunñe lagī
ajiib ranj kā aalam thā par ai ham-safarāñ
mire qarīb tirī yaad kyoñ thirakne lagī
mohabbaton ke hasin KHwab jab se bunne lagi
fasurdagi mere dil mein qiyam karne lagi
bichhaD ki us se azizan gham-e-udasi to
ragon mein barf ki manind mere jamne lagi
ziyan ki rut mein kabhi sar se aasman jo gaya
tere KHulus ki chadar bhi phir sarakne lagi
ek aisa daur bhi aaya tha rah-e-wahshat mein
sadaen chhoD ke jab main sukut sunne lagi
ajib ranj ka aalam tha par ai ham-safaran
mere qarib teri yaad kyon thirakne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.