mohabbaton ke hasin palon ko wo titliyon ka KHayal dega
mohabbatoñ ke hasīñ paloñ ko vo titliyoñ kā ḳhayāl degā
ki ḳhvāb saare bas ek shab meñ vo merī āñkhoñ meñ Dhaal degā
maiñ ruuTh jā.ūñgī laakh us se mujhe manā hī vo legā āḳhir
qarīb aa kar yā muskurā kar mizāj merā sañbhāl degā
jo pal bhī bītegā qurbatoñ meñ hasīn chanchal sī chāhatoñ meñ
mujhe yaqīñ hai ki merā dilbar vo mere maazī ko haal degā
jo shaḳhs bechāra hai aaj mujh se bahār-mausam kī ibtidā meñ
kahā thā us ne ki chāhatoñ ko kabhī na rang-e-zavāl degā
ki le ke ambar se vo sitāre jo mere āñchal sajā rahā thā
kise patā thā ki vo hī āñchal vo merī arthī pe Daal degā
mohabbaton ke hasin palon ko wo titliyon ka KHayal dega
ki KHwab sare bas ek shab mein wo meri aankhon mein Dhaal dega
main ruTh jaungi lakh us se mujhe mana hi wo lega aaKHir
qarib aa kar ya muskura kar mizaj mera sanbhaal dega
jo pal bhi bitega qurbaton mein hasin chanchal si chahaton mein
mujhe yaqin hai ki mera dilbar wo mere mazi ko haal dega
jo shaKHs bechaara hai aaj mujh se bahaar-mausam ki ibtida mein
kaha tha us ne ki chahaton ko kabhi na rang-e-zawal dega
ki le ke ambar se wo sitare jo mere aanchal saja raha tha
kise pata tha ki wo hi aanchal wo meri arthi pe Dal dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.