mohabbaton ke muqabil ye sal dard ka hai
mohabbatoñ ke muqābil ye saal dard kā hai
mujhe hai hijr kā ġham aur malāl dard kā hai
chalo ye maan liyā tum ko bhūlnā hai hameñ
bhulā bhī deñ magar ab bhī savāl dard kā hai
nikal ke dil se to shāḳh-e-nazar pe jhuul kabhī
dayār-e-dil meñ musalsal vabāl dard kā hai
zarā zarā sī chamak hai udaas chehre par
dabī dabī sī hañsī meñ hilāl dard kā hai
dimāġh-o-dil pe hai alfāz kā junūñ taarī
magar ġhazal meñ to rakhnā ḳhayāl dard kā hai
mahak rahī hai tasavvur se merī tanhā.ī
kahīñ qarīb hī rakkhā rūmāl dard kā hai
mohabbaton ke muqabil ye sal dard ka hai
mujhe hai hijr ka gham aur malal dard ka hai
chalo ye man liya tum ko bhulna hai hamein
bhula bhi den magar ab bhi sawal dard ka hai
nikal ke dil se to shaKH-e-nazar pe jhul kabhi
dayar-e-dil mein musalsal wabaal dard ka hai
zara zara si chamak hai udas chehre par
dabi dabi si hansi mein hilal dard ka hai
dimagh-o-dil pe hai alfaz ka junun tari
magar ghazal mein to rakhna KHayal dard ka hai
mahak rahi hai tasawwur se meri tanhai
kahin qarib hi rakkha rumal dard ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.